tujhse karni hai baat raste mein
tujh se karnī hai baat raste meñ
chal guzāreñ ye raat raste meñ
kyā kahā us amīr-zāde kī
luT ga.ī hai barāt raste meñ
ek jugnū bhī saath kar liije
ho bhī saktī hai raat raste meñ
aaj us ḳhūb-rū ne aanā hai
ham lagā.eñge ghaat raste meñ
tab se tanhā safar nahīñ karte
jab se khaa.ī hai maat raste meñ
vaqt kis sānahe pe le aaya
aa gayā hai furāt raste meñ
dars detā rahā sabāt kā jo
ḳhud phire be-sabāt raste meñ
tum ne maktūb meñ likhā 'ābid'
taḳhtī-e-dil davāt raste meñ
tujh se karni hai baat raste mein
chal guzaren ye raat raste mein
kya kaha us amir-zade ki
luT gai hai baraat raste mein
ek jugnu bhi sath kar lije
ho bhi sakti hai raat raste mein
aaj us KHub-ru ne aana hai
hum lagaenge ghat raste mein
tab se tanha safar nahin karte
jab se khai hai mat raste mein
waqt kis sanahe pe le aaya
aa gaya hai furaat raste mein
dars deta raha sabaat ka jo
KHud phire be-sabaat raste mein
tum ne maktub mein likha 'abid'
taKHti-e-dil dawat raste mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.