tujhse mansub rahun teri kahi jaun piya
tujh se mansūb rahūñ terī kahī jā.ūñ piyā
tirī nisbat se likhī aur paḌhī jā.ūñ piyā
jhūmtī phirtī havāoñ kī tarah se maiñ bhī
chuum kar lams tirā mast huī jā.ūñ piyā
tire ehsās se lipTī rahūñ ḳhushbū kī tarah
raat kī raanī banūñ aur khulī jā.ūñ piyā
tirī aahaT kā samā.at meñ koī dar jo khule
maiñ usī dar meñ diyā ban ke jalī jā.ūñ piyā
Daal duuñ āb-e-sitamgar meñ kahīñ kachchā ghaḌā
dar-e-kisrā meñ kahīñ zinda chunī jā.ūñ piyā
raat ke pichhle pahar vajd ke aalam meñ kahīñ
maiñ tirī ruuh meñ tahlīl huī jā.ūñ piyā
phir tire ishq meñ ḳhushbū kā badan pahne hue
tirī chaukhaT pe agar ban ke jalī jā.ūñ piyā
jab kahīñ koī faqīroñ meñ kare zikr mirā
maiñ tire dar ke faqīroñ meñ ginī jā.ūñ piyā
mire hujre meñ tirī chaap ke jab phuul khileñ
aap hī aap charāġhoñ meñ Dhalī jā.ūñ piyā
ho agar dafn mire saath tirā naqsh-e-qadam
raqs kartī sū-e-maqtal ba-ḳhushī jā.ūñ piyā
ban ke dargāhoñ pe maiñ hijr ke māroñ kī duā
dard ke champa.ī dhāgoñ meñ bañdhī jā.ūñ piyā
jab tire naqsh-e-qadam par maiñ jhukī jā.ūñ piyā
āsmānoñ meñ uḌuuñ uḌtī chalī jā.ūñ piyā
dekh le is meñ sarāsar tirī badnāmī hai
ki tire dar se uThūñ aur tahī jā.ūñ piyā
tujh se mansub rahun teri kahi jaun piya
teri nisbat se likhi aur paDhi jaun piya
jhumti phirti hawaon ki tarah se main bhi
chum kar lams tera mast hui jaun piya
tere ehsas se lipTi rahun KHushbu ki tarah
raat ki rani banun aur khuli jaun piya
teri aahaT ka samaat mein koi dar jo khule
main usi dar mein diya ban ke jali jaun piya
Dal dun aab-e-sitamgar mein kahin kachcha ghaDa
dar-e-kisra mein kahin zinda chuni jaun piya
raat ke pichhle pahar wajd ke aalam mein kahin
main teri ruh mein tahlil hui jaun piya
phir tere ishq mein KHushbu ka badan pahne hue
teri chaukhaT pe agar ban ke jali jaun piya
jab kahin koi faqiron mein kare zikr mera
main tere dar ke faqiron mein gini jaun piya
mere hujre mein teri chap ke jab phul khilen
aap hi aap charaghon mein Dhali jaun piya
ho agar dafn mere sath tera naqsh-e-qadam
raqs karti su-e-maqtal ba-KHushi jaun piya
ban ke dargahon pe main hijr ke maron ki dua
dard ke champai dhagon mein bandhi jaun piya
jab tere naqsh-e-qadam par main jhuki jaun piya
aasmanon mein uDun uDti chali jaun piya
dekh le is mein sarasar teri badnami hai
ki tere dar se uThun aur tahi jaun piya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.