tujhse mil kar naya na ho jae
tujh se mil kar nayā na ho jaa.e
zaḳhm-e-dil phir harā na ho jaa.e
us pe gahrī nazar rakho varna
vo kahīñ intihā na ho jaa.e
vo kahīñ phir sunāmī lahroñ sā
dūsrā zalzala na ho jaa.e
us ko Dar hai ki us kī chaukhaT par
koī aakar khaḌā na ho jaa.e
mujh se bachnā ki terā merā kahīñ
āmnā-sāmnā na ho jaa.e
tujh se mil kar naya na ho jae
zaKHm-e-dil phir hara na ho jae
us pe gahri nazar rakho warna
wo kahin intiha na ho jae
wo kahin phir sunami lahron sa
dusra zalzala na ho jae
us ko Dar hai ki us ki chaukhaT par
koi aakar khaDa na ho jae
mujh se bachna ki tera mera kahin
aamna-samna na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.