tujhse milne ki iltija kaisi
tujh se milne kī iltijā kaisī
hoñT par aa ga.ī duā kaisī
jhaḌ ga.e baal Dhīlī paḌ ga.ī khaal
dil meñ ab ḳhushbu-e-hinā kaisī
sej kyā hai baġhair sayyāñ ke
pāniyoñ ke bināñ ghaTā kaisī
dil meñ dar aanā dil ko kalpānā
daan kaisā hai ye dayā kaisī
koī hañgāma koī sar-nāma
varna is ziist meñ baqā kaisī
rishvateñ rahzanī Dakaitī qatl
lag ga.ī shahr ko havā kaisī
harf-e-haq zarf-e-kā.enāt banā
karbalā ho ga.ī kathā kaisī
shabd shobhā sakhī tirī lobhā
tū sakhī mujh se māvarā kaisī
intihā shauq kī tarah milnā
tujh se milne kī intihā kaisī
jal meñ Thahrā tirā mirā chehrā
kaisā dariyā thā vo sabhā kaisī
tujh se milne ki iltija kaisi
honT par aa gai dua kaisi
jhaD gae baal Dhili paD gai khaal
dil mein ab KHushbu-e-hina kaisi
sej kya hai baghair sayyan ke
paniyon ke binan ghaTa kaisi
dil mein dar aana dil ko kalpana
dan kaisa hai ye daya kaisi
koi hangama koi sar-nama
warna is zist mein baqa kaisi
rishwaten rahzani Dakaiti qatl
lag gai shahr ko hawa kaisi
harf-e-haq zarf-e-kaenat bana
karbala ho gai katha kaisi
shabd shobha sakhi teri lobha
tu sakhi mujh se mawara kaisi
intiha shauq ki tarah milna
tujh se milne ki intiha kaisi
jal mein Thahra tera mera chehra
kaisa dariya tha wo sabha kaisi
- Book : Ban Baas (Pg. 557)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.