tujhse rah rah kar mujhe aati hai kya kya bu-e-dost
tujhse rah rah kar mujhe aati hai kya kya bu-e-dost
Hamid Husain Hamid
MORE BYHamid Husain Hamid
tujh se rah rah kar mujhe aatī hai kyā kyā bū-e-dost
dil huā jaatā hai muztar ai havā-e-kū-e-dost
aadmī hī kuchh nahīñ mahv-e-qad-e-dil-jū-e-dost
dekh kar hairān haiñ jinn-o-malak bhī rū-e-dost
apne dil meñ ḳhush na ho kyoñ dekh kar vo sū-e-dost
hai hilāl-e-īd āshiq ko ḳham-e-abrū-e-dost
chhūTnā dushvār ho jaatā hai dām-e-ishq se
phāñs letā hai galā kuchh is tarah gesū-e-dost
vā.izo ham kyā kareñge le ke firdaus-e-barīñ
bāġh-e-jannat se kahīñ behtar hameñ hai kū-e-dost
ḳhair apnī jaan kī ham ko nazar aatī nahīñ
teġh-e-dushman se hai baḌh kar ḳhanjar-e-abrū-e-dost
ḳhaak mil jaatī jo apnī us ke dar kī ḳhaak se
hai kahāñ aisā muqaddar ai nasīm-e-kū-e-dost
jazb-e-ulfat se nahīñ kuchh kam kashish bhī husn kī
baiThe baiThe dil khichā jaatā hai 'hāmid' sū-e-dost
tujh se rah rah kar mujhe aati hai kya kya bu-e-dost
dil hua jata hai muztar ai hawa-e-ku-e-dost
aadmi hi kuchh nahin mahw-e-qad-e-dil-ju-e-dost
dekh kar hairan hain jinn-o-malak bhi ru-e-dost
apne dil mein KHush na ho kyon dekh kar wo su-e-dost
hai hilal-e-id aashiq ko KHam-e-abru-e-dost
chhuTna dushwar ho jata hai dam-e-ishq se
phans leta hai gala kuchh is tarah gesu-e-dost
waizo hum kya karenge le ke firdaus-e-barin
bagh-e-jannat se kahin behtar hamein hai ku-e-dost
KHair apni jaan ki hum ko nazar aati nahin
tegh-e-dushman se hai baDh kar KHanjar-e-abru-e-dost
KHak mil jati jo apni us ke dar ki KHak se
hai kahan aisa muqaddar ai nasim-e-ku-e-dost
jazb-e-ulfat se nahin kuchh kam kashish bhi husn ki
baiThe baiThe dil khicha jata hai 'hamid' su-e-dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.