tujhse sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi
tujh se sab kuchh kah ke bhī kuchh an-kahī rah jā.egī
guftugū itnī baḌhegī kuchh kamī rah jā.egī
apne lafzoñ ke sabhī tohfe tujhe dene ke ba.ad
āḳhirī sauġhāt merī ḳhāmushī rah jā.egī
kashtiyāñ mazbūt sab bah jā.eñgī sailāb meñ
kāġhzī ik naav merī zaat kī rah jā.egī
hirs ke tūfān meñ Dhah jā.eñge saare mahal
shahr meñ darvesh kī ik jhoñpaḌī rah jā.egī
chhoḌ kar mujh ko chale jā.eñge saare āshnā
sub.h-dam bas ek laḌkī ajnabī rah jā.egī
raat bhar jaltā rahā huuñ maiñ 'suhail' is aas meñ
maiñ to bujh jā.ūñgā lekin raushnī rah jā.egī
tujh se sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi
guftugu itni baDhegi kuchh kami rah jaegi
apne lafzon ke sabhi tohfe tujhe dene ke baad
aaKHiri saughat meri KHamushi rah jaegi
kashtiyan mazbut sab bah jaengi sailab mein
kaghzi ek naw meri zat ki rah jaegi
hirs ke tufan mein Dhah jaenge sare mahal
shahr mein darwesh ki ek jhonpaDi rah jaegi
chhoD kar mujh ko chale jaenge sare aashna
subh-dam bas ek laDki ajnabi rah jaegi
raat bhar jalta raha hun main 'suhail' is aas mein
main to bujh jaunga lekin raushni rah jaegi
- Book : Samandar Aur Jazeere (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.