tujhse talluqat ki tajdid ke liye
tujh se ta.alluqāt kī tajdīd ke liye
maiñ ne charāġh haath meñ ummīd ke liye
phailī hai mere dil meñ tire dil kī raushnī
lamhāt-e-fikriya haiñ ye ḳhurshīd ke liye
ik sher tujh pe is tarah likkhūñ ki jis tarah
momin kā sher ġhairat-e-nāhīd ke liye
chheḌā hai ek naġhma-e-shīrīñ bhī kū-ba-kū
dil ne hilāl-e-īd kī tā.īd ke liye
sū-e-falak nazar jo uThī to vuzū kiyā
merī zabāñ ne kalma-e-tauhīd ke liye
mere laboñ ne aaj qasīde bahut paḌhe
apne ḳhudā-e-pāk kī tamjīd ke liye
uTheñge aaj merī taraf jab tire qadam
koī ḳhabar na aa.egī tardīd ke liye
dekhūñ tujhe to dāman-e-tausīf kah uThe
ik harf bhī mile nahīñ tanqīd ke liye
maiñ sochtī huuñ dasht-e-tamannā meñ aaj shab
āñkheñ taras na jaa.eñ tirī diid ke liye
lekin mujhe yaqīñ hai tire āsmān par
utregī chāñd raat mirī iid ke liye
tujh se talluqat ki tajdid ke liye
main ne charagh hath mein ummid ke liye
phaili hai mere dil mein tere dil ki raushni
lamhat-e-fikriya hain ye KHurshid ke liye
ek sher tujh pe is tarah likkhun ki jis tarah
momin ka sher ghairat-e-nahid ke liye
chheDa hai ek naghma-e-shirin bhi ku-ba-ku
dil ne hilal-e-id ki taid ke liye
su-e-falak nazar jo uThi to wuzu kiya
meri zaban ne kalma-e-tauhid ke liye
mere labon ne aaj qaside bahut paDhe
apne KHuda-e-pak ki tamjid ke liye
uThenge aaj meri taraf jab tere qadam
koi KHabar na aaegi tardid ke liye
dekhun tujhe to daman-e-tausif kah uThe
ek harf bhi mile nahin tanqid ke liye
main sochti hun dasht-e-tamanna mein aaj shab
aankhen taras na jaen teri did ke liye
lekin mujhe yaqin hai tere aasman par
utregi chand raat meri id ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.