tujhse wada aziz-tar rakkha
tujh se va.ada azīz-tar rakkhā
vahshatoñ ko bhī apne ghar rakkhā
apnī be-chehragī chhupāne ko
aa.ine ko idhar udhar rakkhā
ik tirā ġham hī apnī daulat thī
dil meñ poshīda be-ḳhatar rakkhā
aarzū ne kamāl pahchānā
aur ta'alluq ko taaq par rakkhā
is qadar thā udaas mausam-e-gul
ham ne āb-e-ravāñ pe sar rakkhā
apnī vāraftagī chhupāne ko
shauq ne ham ko dar-ba-dar rakkhā
kalma-e-shukr ki mohabbat ne
ham ko tamhīd-e-ḳhvāb par rakkhā
un ko samjhāne apnā harf-e-suḳhan
āñsuoñ ko payām par rakkhā
tujh se wada aziz-tar rakkha
wahshaton ko bhi apne ghar rakkha
apni be-chehragi chhupane ko
aaine ko idhar udhar rakkha
ek tera gham hi apni daulat thi
dil mein poshida be-KHatar rakkha
aarzu ne kamal pahchana
aur ta'alluq ko taq par rakkha
is qadar tha udas mausam-e-gul
hum ne aab-e-rawan pe sar rakkha
apni waraftagi chhupane ko
shauq ne hum ko dar-ba-dar rakkha
kalma-e-shukr ki mohabbat ne
hum ko tamhid-e-KHwab par rakkha
un ko samjhane apna harf-e-suKHan
aansuon ko payam par rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.