tujhe aaj ranj-o-malal kyon
tujhe aaj ranj-o-malāl kyoñ
use kho diyā to savāl kyoñ
rag-e-jāñ ko itnā hisāb hai
shab-e-furqatoñ meñ malāl kyoñ
vo jo merī jaañ se qarīb haiñ
yahāñ un dinoñ pe savāl kyoñ
tire baa'd tere ḳhayāl meñ
huā utnā jiinā muhāl kyoñ
jise bhuul kar maiñ guzar ga.ī
use aayā merā ḳhayāl kyoñ
mirī baat maano Thahar to lo
yahāñ nafratoñ meñ jalāl kyoñ
hai ye chaar din kī to zindagī
khaḌā ho gayā hai vabāl kyoñ
tujhe aaj ranj-o-malal kyon
use kho diya to sawal kyon
rag-e-jaan ko itna hisab hai
shab-e-furqaton mein malal kyon
wo jo meri jaan se qarib hain
yahan un dinon pe sawal kyon
tere ba'd tere KHayal mein
hua utna jina muhaal kyon
jise bhul kar main guzar gai
use aaya mera KHayal kyon
meri baat mano Thahar to lo
yahan nafraton mein jalal kyon
hai ye chaar din ki to zindagi
khaDa ho gaya hai wabaal kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.