tujhe apna banana chahta hun
tujhe apnā banānā chāhtā huuñ
magar ḳhud ko bhī paanā chāhtā huuñ
tumhārī yaad ko dil meñ basā kar
maiñ sab kuchh bhuul jaanā chāhtā huuñ
zarā merī taraf bhī ho tavajjoh
maiñ hāl-e-dil sunānā chāhtā huuñ
jo har insān ko sarshār kar de
maiñ aisā giit gaanā chāhtā huuñ
maiñ Thukrā kar jahāñ kī saarī daulat
faqat ab tujh ko paanā chāhtā huuñ
tumheñ ḳhushiyāñ atā karne kī ḳhātir
maiñ apnā ġham chhupānā chāhtā huuñ
mohabbat zindagī hai apnī 'ahsan'
yahī sab ko batānā chāhtā huuñ
tujhe apna banana chahta hun
magar KHud ko bhi pana chahta hun
tumhaari yaad ko dil mein basa kar
main sab kuchh bhul jaana chahta hun
zara meri taraf bhi ho tawajjoh
main haal-e-dil sunana chahta hun
jo har insan ko sarshaar kar de
main aisa git gana chahta hun
main Thukra kar jahan ki sari daulat
faqat ab tujh ko pana chahta hun
tumhein KHushiyan ata karne ki KHatir
main apna gham chhupana chahta hun
mohabbat zindagi hai apni 'ahsan'
yahi sab ko batana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.