tujhe apna banana chahta hun
tujhe apnā banānā chāhtā huuñ
maiñ qismat āzmānā chāhtā huuñ
tujhe dil meñ biThānā chāhtā huuñ
na.ī duniyā basānā chāhtā huuñ
ġham-e-daurāñ se gar mil jaa.e fursat
maiñ hañsnā muskurānā chāhtā huuñ
bahut da.avā hai tujh ko dostī kā
tujhe bhī āzmānā chāhtā huuñ
bahut taḌpā rahī haiñ us kī yādeñ
maiñ us ko bhuul jaanā chāhtā huuñ
mire rab kī hifāzat meñ hai kashtī
ye tūfāñ ko batānā chāhtā huuñ
sabaq uns-o-mohabbat kā 'zakī' maiñ
zamāne ko paḌhānā chāhtā huuñ
tujhe apna banana chahta hun
main qismat aazmana chahta hun
tujhe dil mein biThana chahta hun
nai duniya basana chahta hun
gham-e-dauran se gar mil jae fursat
main hansna muskurana chahta hun
bahut dawa hai tujh ko dosti ka
tujhe bhi aazmana chahta hun
bahut taDpa rahi hain us ki yaaden
main us ko bhul jaana chahta hun
mere rab ki hifazat mein hai kashti
ye tufan ko batana chahta hun
sabaq uns-o-mohabbat ka 'zaki' main
zamane ko paDhana chahta hun
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 80)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.