Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe chhu kar bhi meri ruh mein shiddat nahin hai

Qasim Yaqub

tujhe chhu kar bhi meri ruh mein shiddat nahin hai

Qasim Yaqub

MORE BYQasim Yaqub

    tujhe chhū kar bhī mirī ruuh meñ shiddat nahīñ hai

    dil-lagī hai ye dar-asl mohabbat nahīñ hai

    apne andar ghuTā rahne lagā huuñ ab to

    tere ġham meñ abhī rone nazākat nahīñ hai

    mere jazboñ meñ mirī ruuh pākīzgī hai

    jo bhī likhtā huuñ mujhe us malāmat nahīñ hai

    dar-e-imkān dastak mujhe bhejī ga.ī hai

    merī qismat meñ to maujūd daulat nahīñ hai

    ek sarshār aziyyat meñ giraftār huuñ maiñ

    magar afsos ki ye terī badaulat nahīñ hai

    mere andar koī kohrām machā rahtā hai

    ai zamāne tujhe sunñe zarūrat nahīñ hai

    tujhe chhu kar bhi meri ruh mein shiddat nahin hai

    dil-lagi si hai ye dar-asl mohabbat nahin hai

    apne andar hi ghuTa rahne laga hun ab to

    tere gham mein abhi rone ki nazakat nahin hai

    mere jazbon mein meri ruh ki pakizgi hai

    jo bhi likhta hun mujhe us ki malamat nahin hai

    dar-e-imkan ki dastak mujhe bheji gai hai

    meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai

    ek sarshaar aziyyat mein giraftar hun main

    magar afsos ki ye teri badaulat nahin hai

    mere andar koi kohram macha rahta hai

    ai zamane tujhe sunne ki zarurat nahin hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now