tujhe hai pyar to yun karke chal dikha mujhko
tujhe hai pyaar to yuuñ karke chal dikhā mujh ko
sabhī ke sāmne apne gale lagā mujh ko
maiñ jāntā huuñ ki tū ik dahaktā sho.ala hai
tirī tapish meñ agar dam hai to jalā mujh ko
har ik nazar ko patā hai maiñ ek patthar huuñ
har ek dil ne banā rakhā hai ḳhudā mujh ko
tirī zabāñ pe hai inkār aaj bhī lekin
kuchh aur kahtī lagī hai tirī adā mujh ko
na ab rahā hai koī shauq banñe Thanne kā
na apnī or bulātā hai ā.īna mujh ko
kahīñ nadī kahīñ dariyā kahīñ samundar huuñ
ye naam detā hai paanī kā silsila mujh ko
unheñ hai shauq agar āzmāne kā 'ulfat'
ġhurūr apnī vafā par bhī hai baḌā mujh ko
tujhe hai pyar to yun karke chal dikha mujh ko
sabhi ke samne apne gale laga mujh ko
main jaanta hun ki tu ek dahakta shoala hai
teri tapish mein agar dam hai to jala mujh ko
har ek nazar ko pata hai main ek patthar hun
har ek dil ne bana rakha hai KHuda mujh ko
teri zaban pe hai inkar aaj bhi lekin
kuchh aur kahti lagi hai teri ada mujh ko
na ab raha hai koi shauq banne Thanne ka
na apni or bulata hai aaina mujh ko
kahin nadi kahin dariya kahin samundar hun
ye nam deta hai pani ka silsila mujh ko
unhen hai shauq agar aazmane ka 'ulfat'
ghurur apni wafa par bhi hai baDa mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.