tujhe har gali har nagar DhunDte hain
tujhe har galī har nagar DhūñDte haiñ
nahīñ kuchh bhī hāsil magar DhūñDte haiñ
banā de jo sahrā ko phir se gulistāñ
ham aisī nasīm-e-sahar DhūñDte haiñ
luTe āshiyānoñ ke āvāra panchhī
na jaane kahāñ apnā ghar DhūñDte haiñ
har ik dard-e-dil ko zabāñ de sake jo
ham ashkoñ meñ bas vo asar DhūñDte haiñ
na.e daur kā hai muqaddar añdherā
magar phir bhī 'āshā' sahar DhūñDte haiñ
tujhe har gali har nagar DhunDte hain
nahin kuchh bhi hasil magar DhunDte hain
bana de jo sahra ko phir se gulistan
hum aisi nasim-e-sahar DhunDte hain
luTe aashiyanon ke aawara panchhi
na jaane kahan apna ghar DhunDte hain
har ek dard-e-dil ko zaban de sake jo
hum ashkon mein bas wo asar DhunDte hain
nae daur ka hai muqaddar andhera
magar phir bhi 'asha' sahar DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.