tujhe kab pukara nahin ja raha
tujhe kab pukārā nahīñ jā rahā
firāq ab sahārā nahīñ jā rahā
ajab be-kalī hai pas-e-ishq bhī
ye lamha guzārā nahīñ jā rahā
tahayyur-zada ik jahāñ hai magar
tujhī tak ishāra nahīñ jā rahā
sar-e-shauq manzil hai vo pesh-o-pas
thakan ko utārā nahīñ jā rahā
taġhayyur kā idrāk hote hue
nayā ruup dhārā nahīñ jā rahā
nahīñ duur tak, jiit kā shā.iba
magar ham se haarā nahīñ jā rahā
tujhe kab pukara nahin ja raha
firaq ab sahaara nahin ja raha
ajab be-kali hai pas-e-ishq bhi
ye lamha guzara nahin ja raha
tahayyur-zada ek jahan hai magar
tujhi tak ishaara nahin ja raha
sar-e-shauq manzil hai wo pesh-o-pas
thakan ko utara nahin ja raha
taghayyur ka idrak hote hue
naya rup dhaara nahin ja raha
nahin dur tak, jit ka shaiba
magar hum se haara nahin ja raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.