tujhe kaise main banhon mein sameTun
tujhe kaise maiñ bāñhoñ meñ sameTūñ
mire hāthoñ meñ sāġhar Doltā hai
jo pahnāyā tujhe kangan sunahrā
kalā.ī meñ tirī kyoñ ghūmtā hai
ġhazal ke qāfiye ab nāchte haiñ
radīfoñ meñ tirā charchā kiyā hai
kisī kā lams pī kar bhī ‘kifāyat’
ye man kā jaam pyāsā rah gayā hai
tujhe kaise main banhon mein sameTun
mere hathon mein saghar Dolta hai
jo pahnaya tujhe kangan sunahra
kalai mein teri kyon ghumta hai
ghazal ke qafiye ab nachte hain
radifon mein tera charcha kiya hai
kisi ka lams pi kar bhi ‘kifayat’
ye man ka jam pyasa rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.