tujhe KHabar hai tujhe yaad kyun nahin karte
tujhe ḳhabar hai tujhe yaad kyuuñ nahīñ karte
ḳhudā pe naaz ḳhudā-zād kyuuñ nahīñ karte
ajab ki sabr kī mī.ād baḌhtī jaatī hai
ye kaun log haiñ fariyād kyuuñ nahīñ karte
ragoñ meñ ḳhuun ke mānind hai sukūt kā zahr
koī mukālima ījād kyuuñ nahīñ karte
mire suḳhan se ḳhafā haiñ to ek roz mujhe
kisī tilism se barbād kyuuñ nahīñ karte
ye hādsa hai ki shole meñ jaan hai merī
mujhe charāġh se āzād kyuuñ nahīñ karte
tujhe KHabar hai tujhe yaad kyun nahin karte
KHuda pe naz KHuda-zad kyun nahin karte
ajab ki sabr ki miad baDhti jati hai
ye kaun log hain fariyaad kyun nahin karte
ragon mein KHun ke manind hai sukut ka zahr
koi mukalima ijad kyun nahin karte
mere suKHan se KHafa hain to ek roz mujhe
kisi tilism se barbaad kyun nahin karte
ye hadsa hai ki shole mein jaan hai meri
mujhe charagh se aazad kyun nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.