tujhe KHalq kahti hai KHud-numa tujhe humse kyun ye hijab hai
tujhe KHalq kahti hai KHud-numa tujhe humse kyun ye hijab hai
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
tujhe ḳhalq kahtī hai ḳhud-numā tujhe ham se kyuuñ ye hijāb hai
tirā jalva terā hai parda-dar tere ruḳh pe kyuuñ ye naqāb hai
tujhe husn māya-e-nāz hai dil-e-ḳhasta mahv-e-niyāz hai
kahūñ kyā ye qissa-e-rāz hai mirā ishq ḳhāna-ḳharāb hai
ye risāla ishq kā hai adaq tire ġhaur karne kā hai sabaq
kabhī dekh is ko varaq varaq mirā siina ġham kī kitāb hai
tirī jazb meñ hai rubūdgī tere sukr meñ hai ġhunūdgī
na ḳhabar shuhūd-o-vajūd kī na tarañg-e-mauj-e-sarāb hai
ye vahī hai 'sāqī'-e-shefta jo hai dil se terā farefta
ye hai terā banda gurīḳhta ki jo ḳhāksār-e-turāb hai
tujhe KHalq kahti hai KHud-numa tujhe hum se kyun ye hijab hai
tera jalwa tera hai parda-dar tere ruKH pe kyun ye naqab hai
tujhe husn maya-e-naz hai dil-e-KHasta mahw-e-niyaz hai
kahun kya ye qissa-e-raaz hai mera ishq KHana-KHarab hai
ye risala ishq ka hai adaq tere ghaur karne ka hai sabaq
kabhi dekh is ko waraq waraq mera sina gham ki kitab hai
teri jazb mein hai rubudgi tere sukr mein hai ghunudgi
na KHabar shuhud-o-wajud ki na tarang-e-mauj-e-sarab hai
ye wahi hai 'saqi'-e-shefta jo hai dil se tera farefta
ye hai tera banda guriKHta ki jo KHaksar-e-turab hai
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-210 p-207)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.