Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka

Mamnoon Nizamuddin

tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka

Mamnoon Nizamuddin

MORE BYMamnoon Nizamuddin

    tujhe kuchh yaad hai pahlā vo aalam ishq-e-pinhāñ

    shigāf-e-parda se kyā thā ishāra chashm-e-fattāñ

    sunā hai kab ye chhuTtī hai pakaḌ gosha na dāmāñ

    samajh kājal na phailā saaya hai terī mizhgāñ

    yahāñ dam khīñchnā do dopahar mushkil hai ho jaatā

    dhuāñ ghaTtā hai jab siine meñ apnī āh-e-sozāñ

    na ġhamza ne jallādī na un āñkhoñ ne saffākī

    jise kahte haiñ dil apnā vahī qātil huā jaañ

    shigāf-e-sīna se az-bas-ki dūd-e-dil nikaltā hai

    siyah ab jā-ba-jā se rañg hai apne garebāñ

    ye dil hai qatra-e-ḳhūñ se bhī kam allāh jur.at

    huā hai tispe rū-kash us ḳhadañg andāz mizhgāñ

    tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka

    shigaf-e-parda se kya tha ishaara chashm-e-fattan ka

    suna hai kab ye chhuTti hai pakaD gosha na daman ka

    samajh kajal na phaila saya hai teri hi mizhgan ka

    yahan dam khinchna do dopahar mushkil hai ho jata

    dhuan ghaTta hai jab sine mein apni aah-e-sozan ka

    na ki ghamza ne jalladi na un aankhon ne saffaki

    jise kahte hain dil apna wahi qatil hua jaan ka

    shigaf-e-sina se az-bas-ki dud-e-dil nikalta hai

    siyah ab ja-ba-ja se rang hai apne gareban ka

    ye dil hai qatra-e-KHun se bhi kam allah ri jurat

    hua hai tispe ru-kash us KHadang andaz mizhgan ka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now