tujhe kya KHabar hai o be-KHabar meri jaan tujh pe nisar hai
tujhe kya KHabar hai o be-KHabar meri jaan tujh pe nisar hai
Zaheer Abbas Saer
MORE BYZaheer Abbas Saer
tujhe kyā ḳhabar hai o be-ḳhabar mirī jaan tujh pe nisār hai
tirī shoḳh-o-shang adāoñ meñ mirī āshiqī kā ḳhumār hai
tū hī jān-e-jāñ tū hī rāzdāñ tū hī mere pyaar kī kahkashāñ
mire dil ke baaġh meñ āj-kal tire dam se fasl-e-bahār hai
maiñ batā sakūñgā bhalā kahāñ maiñ chhupā sakūñgā bhalā kahāñ
mirā dil kisī pe fidā huā mirī jaañ kisī pe nisār hai
na huuñ muztarib na huuñ mutma.in hai baḌī ajiib sī kaifiyat
hai buland-tar mirī fahm se koī aisī soch-bichār hai
tū mire chaman kā gulāb hai tū mirī vafā kā shabāb hai
na kisī kā tujh sā ḳhulūs hai na kisī kā tujh sā vaqār hai
tū milā hai mujh ko jahāñ kahīñ mire dil ke ġhunche khile vahīñ
mirī ḳhud-baḳhud hī jhukī jabīñ tū mirā hasīn nigār hai
tirā aaj 'sā.ir'-e-be-navā hai udāsiyoñ meñ ghirā huā
tire ġham meñ aise hai mubtalā use chain hai na qarār hai
tujhe kya KHabar hai o be-KHabar meri jaan tujh pe nisar hai
teri shoKH-o-shang adaon mein meri aashiqi ka KHumar hai
tu hi jaan-e-jaan tu hi raazdan tu hi mere pyar ki kahkashan
mere dil ke bagh mein aaj-kal tere dam se fasl-e-bahaar hai
main bata sakunga bhala kahan main chhupa sakunga bhala kahan
mera dil kisi pe fida hua meri jaan kisi pe nisar hai
na hun muztarib na hun mutmain hai baDi ajib si kaifiyat
hai buland-tar meri fahm se koi aisi soch-bichaar hai
tu mere chaman ka gulab hai tu meri wafa ka shabab hai
na kisi ka tujh sa KHulus hai na kisi ka tujh sa waqar hai
tu mila hai mujh ko jahan kahin mere dil ke ghunche khile wahin
meri KHud-baKHud hi jhuki jabin tu mera hasin nigar hai
tera aaj 'sair'-e-be-nawa hai udasiyon mein ghira hua
tere gham mein aise hai mubtala use chain hai na qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.