tujhe kya sunaun main dilruba tere samne mera haal hai
tujhe kya sunaun main dilruba tere samne mera haal hai
Majrooh Sultanpuri
MORE BYMajrooh Sultanpuri
tujhe kyā sunā.ūñ maiñ dilrubā tire sāmne mirā haal hai
tirī ik nigāh kī baat hai mirī zindagī kā savāl hai
mirī har ḳhushī tire dam se hai mirī zindagī tire ġham se hai
tire dard se rahe be-ḳhabar mire dil kī kab ye majāl hai
tire husn par hai mirī nazar mujhe sub.h shaam kī kyā ḳhabar
mirī shaam hai tirī justujū merī sub.h terā ḳhayāl hai
mire dil jigar meñ samā bhī jā rahe kyoñ nazar kā bhī fāsla
ki tire baġhair to jān-e-jāñ mujhe zindagī bhī muhāl hai
tujhe kya sunaun main dilruba tere samne mera haal hai
teri ek nigah ki baat hai meri zindagi ka sawal hai
meri har KHushi tere dam se hai meri zindagi tere gham se hai
tere dard se rahe be-KHabar mere dil ki kab ye majal hai
tere husn par hai meri nazar mujhe subh sham ki kya KHabar
meri sham hai teri justuju meri subh tera KHayal hai
mere dil jigar mein sama bhi ja rahe kyon nazar ka bhi fasla
ki tere baghair to jaan-e-jaan mujhe zindagi bhi muhaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.