tujhe naqsh-e-hasti miTaya to dekha
tujhe naqsh-e-hastī miTāyā to dekhā
jo parda thā haa.il uThāyā to dekhā
ye sab tere hī husn kā partav hai
na dekhā tujhe terā saayā to dekhā
burā māniye mat mire dekhne se
tumheñ haq ne aisā banāyā to dekhā
na huuñ kyūñki 'mamnūn' pīr-e-muġhāñ kā
ye aalam jo sāġhar pilāyā to dekhā
tujhe naqsh-e-hasti miTaya to dekha
jo parda tha hail uThaya to dekha
ye sab tere hi husn ka partaw hai
na dekha tujhe tera saya to dekha
bura maniye mat mere dekhne se
tumhein haq ne aisa banaya to dekha
na hun kyunki 'mamnun' pir-e-mughan ka
ye aalam jo saghar pilaya to dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.