Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe pa ke tujhse juda ho gae hum

Siraj Lakhnavi

tujhe pa ke tujhse juda ho gae hum

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    tujhe ke tujh se judā ho ga.e ham

    kahāñ kho diyā ne kyā ho ga.e ham

    mohabbat meñ ik sānehā ho ga.e ham

    abhī the abhī jaane kyā ho ga.e ham

    mohabbat to ḳhud husn hai husn kaisā

    ye kis vahm meñ mubtalā ho ga.e ham

    ye kyā kar diyā inqilāb-e-mohabbat

    zarā ā.īna ye kyā ho ga.e ham

    haqīqat meñ banda bhī banñā na aayā

    samajhte haiñ dil meñ ḳhudā ho ga.e ham

    qayāmat thā tujh se nigāhoñ milnā

    zamāne se nā-āshnā ho ga.e ham

    na raas aa.iiñ āḳhir hameñ ThanDī sāñseñ

    ajab saaz the be-sadā ho ga.e ham

    tasavvur meñ bal paḌ ga.e abrūoñ par

    ye kis bevafā se ḳhafā ho ga.e ham

    gudāz-e-mohabbat hameñ dil banā de

    bas ek aañch aur aabla ho ga.e ham

    kabhī bazm-e-hastī raunaq hamīñ the

    'sirāj' ab bujhā diyā ho ga.e ham

    tujhe pa ke tujh se juda ho gae hum

    kahan kho diya tu ne kya ho gae hum

    mohabbat mein ek saneha ho gae hum

    abhi the abhi jaane kya ho gae hum

    mohabbat to KHud husn hai husn kaisa

    ye kis wahm mein mubtala ho gae hum

    ye kya kar diya inqilab-e-mohabbat

    zara aaina la ye kya ho gae hum

    haqiqat mein banda bhi banna na aaya

    samajhte hain dil mein KHuda ho gae hum

    qayamat tha tujh se nigahon ka milna

    zamane se na-ashna ho gae hum

    na ras aain aaKHir hamein ThanDi sansen

    ajab saz the be-sada ho gae hum

    tasawwur mein bal paD gae abruon par

    ye kis bewafa se KHafa ho gae hum

    gudaz-e-mohabbat hamein dil bana de

    bas ek aanch aur aabla ho gae hum

    kabhi bazm-e-hasti ki raunaq hamin the

    'siraj' ab bujha sa diya ho gae hum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now