tujhe yaad kar ke bhulane se pahle
tujhe yaad kar ke bhulāne se pahle
maiñ royā bahut muskurāne se pahle
ki ro-ro ke sonā to hañs-hañs ke uThnā
ham aise na the dil lagāne se pahle
mire ḳhvāb rah jaa.eñ na phir adhūre
jabīñ chuum lenā jagāne se pahle
tum apnī tabāhī kā mātam to kar lo
mire haal pe muskurāne se pahle
bahut yaad aa.egī pāgal sī laḌkī
ye sochā nahīñ thā bhulāne se pahle
maiñ TuuTā maiñ bikhrā huā reza-reza
mirī jaañ tire ḳhat jalāne se pahle
tumheñ sirf ranj-o-alam hī mileñge
zarā soch lo dil lagāne se pahle
ġhazal pesh-e-ḳhidmat hai 'rāhī' kī sun lo
kahā us ne sab ko sunāne se pahle
tujhe yaad kar ke bhulane se pahle
main roya bahut muskurane se pahle
ki ro-ro ke sona to hans-hans ke uThna
hum aise na the dil lagane se pahle
mere KHwab rah jaen na phir adhure
jabin chum lena jagane se pahle
tum apni tabahi ka matam to kar lo
mere haal pe muskurane se pahle
bahut yaad aaegi pagal si laDki
ye socha nahin tha bhulane se pahle
main TuTa main bikhra hua reza-reza
meri jaan tere KHat jalane se pahle
tumhein sirf ranj-o-alam hi milenge
zara soch lo dil lagane se pahle
ghazal pesh-e-KHidmat hai 'rahi' ki sun lo
kaha us ne sab ko sunane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.