tujhe zara dukh aur sisakne wala main
tujhe zara dukh aur sisakne wala main
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
tujhe zarā dukh aur sisakne vaalā maiñ
tirī udāsī dekh na sakne vaalā maiñ
tire badan meñ chingārī sī kyā shai hai
'aks zarā sā aur chamakne vaalā maiñ
tire lahū meñ bedārī sī kyā shai hai
lams zarā sā aur mahakne vaalā maiñ
tirī adā meñ purkārī sī kyā shai hai
baat zarā sī aur jhijakne vaalā maiñ
rangoñ kā ik bāġh-e-hasīñ chehra terā
kyā kyā dekhūñ aañkh jhapakne vaalā maiñ
sang nahīñ huuñ baat na mānūñ mausam kī
havā zarā sī aur lachakne vaalā maiñ
safar meñ tanhā qadam uThānā mushkil hai
saath tumhāre kabhī na thakne vaalā maiñ
tujhe zara dukh aur sisakne wala main
teri udasi dekh na sakne wala main
tere badan mein chingari si kya shai hai
'aks zara sa aur chamakne wala main
tere lahu mein bedari si kya shai hai
lams zara sa aur mahakne wala main
teri ada mein purkari si kya shai hai
baat zara si aur jhijakne wala main
rangon ka ek bagh-e-hasin chehra tera
kya kya dekhun aankh jhapakne wala main
sang nahin hun baat na manun mausam ki
hawa zara si aur lachakne wala main
safar mein tanha qadam uThana mushkil hai
sath tumhaare kabhi na thakne wala main
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 284)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.