tujhī se kartā huuñ maiñ hāl-e-dil bayāñ qāsid
ki tū hī hai mirā duniyā meñ rāzdāñ qāsid
sunātā ḳhuub mirī un ko dāstāñ qāsid
tire dahan meñ jo hotī mirī zabāñ qāsid
charāġh-e-umr mirā gul hai baiTh mere paas
añdherī raat meñ jā.egā tū kahāñ qāsid
na puñchh haal mirā tujh ko ranj hotā hai
batā.ūñ dard tujhe hai kahāñ kahāñ qāsid
pata na us kā milā aur na koī ḳhat aayā
ḳhudā hī jaane gayā hai mirā kahāñ qāsid
yaqīñ hai sun ke mujhe vo bhī dekhne aa.eñ
jo un ke kaan meñ pahuñche mirī fuġhāñ qāsid
jo un se sunñā vahī mujh se tū bayāñ karnā
ki mere un ke to hai tū hī darmiyāñ qāsid
chabā chabā ke na tū zikr-e-ġhair mujh se kar
tire mazāq meñ jā.egī merī jaañ qāsid
kuchh un ke ġhusse kā andāz to bayāñ tū kar
uḌā.īñ kis tarah naame kī dhajjiyāñ qāsid
ilāhī aate hoñ vo yā mujhe bulāyā ho
sunā to hai ki kuchh aatā hai shādmāñ qāsid
vo hoshiyār hai pahuñchā jo us ke kūcha meñ
har ek shaḳhs se hotā hai bad-gumāñ qāsid
tamām 'umr tirā aisā intizār kiyā
ki khiñch ke aa.ī hai āñkhoñ meñ merī jaañ qāsid
ye ġhair kahne lage us se un kī sohbat meñ
jo kuchh kahā tirī kaT jā.egī zabāñ qāsid
jo us ne pūchhā mujhe us ko ḳhuub vaqt milā
'shafīq' kahne lagā terī dāstāñ qāsid
tujhi se karta hun main haal-e-dil bayan qasid
ki tu hi hai mera duniya mein raazdan qasid
sunata KHub meri un ko dastan qasid
tere dahan mein jo hoti meri zaban qasid
charagh-e-umr mera gul hai baiTh mere pas
andheri raat mein jaega tu kahan qasid
na punchh haal mera tujh ko ranj hota hai
bataun dard tujhe hai kahan kahan qasid
pata na us ka mila aur na koi KHat aaya
KHuda hi jaane gaya hai mera kahan qasid
yaqin hai sun ke mujhe wo bhi dekhne aaen
jo un ke kan mein pahunche meri fughan qasid
jo un se sunna wahi mujh se tu bayan karna
ki mere un ke to hai tu hi darmiyan qasid
chaba chaba ke na tu zikr-e-ghair mujh se kar
tere mazaq mein jaegi meri jaan qasid
kuchh un ke ghusse ka andaz to bayan tu kar
uDain kis tarah name ki dhajjiyan qasid
ilahi aate hon wo ya mujhe bulaya ho
suna to hai ki kuchh aata hai shadman qasid
wo hoshiyar hai pahuncha jo us ke kucha mein
har ek shaKHs se hota hai bad-guman qasid
tamam 'umr tera aisa intizar kiya
ki khinch ke aai hai aankhon mein meri jaan qasid
ye ghair kahne lage us se un ki sohbat mein
jo kuchh kaha teri kaT jaegi zaban qasid
jo us ne puchha mujhe us ko KHub waqt mila
'shafiq' kahne laga teri dastan qasid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.