Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai
Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
Tuk ik ai nasīm sambhāl le ki bahār mast-e-sharāb hai
vo jo husn-e-ālam-e-nashsha hai use ab kī ain-shabāb hai
vo ghaTā.eñ chhā.īñ jo kāliyāñ jo harī-bharī huiiñ Dāliyāñ
ubhar aa.iiñ phūloñ kī lāliyāñ to bajā.e āb-e-shahāb hai
ye do-roza nashv-o-numā ko tū na samajh ki naqsh-e-pur-āb se
ye sarāb hai ye habāb hai faqat ek qissa-e-ḳhvāb hai
araq-e-bahār-e-sharāb hai vo hī aaj chhiḌkeñge aap par
na to bed-e-mushk hai is ghaḌī na to kevḌā na gulāb hai
unheñ kahne sunñe se bair hai jo ḳhud aa.eñ so to ba-ḳhair hai
ye ġharaz ki zor hī sair hai na savāl hai na javāb hai
kidhar aa.uuñ jā.ūñ karūñ so kyā mirā jī hī naak meñ aa gayā
na to arz-e-hāl kī taab hai na to sabr-e-ḳhāna-ḳharāb hai
mujhe vahsh-o-tair se rashk hai ki kabhī unhoñ ko kisī namat
na savāl hai na javāb hai na azaab hai na iqaab hai
mirī baat maan sunā dilā na to arz o farz pe jī chalā
koī un ko Toke so kyā bhalā ki vo aalī un kī janāb hai
are 'inshā' ab jo ye daur hai tirī vaz.a in dinoñ aur hai
ye bhī koī ziist kā taur hai na sharāb hai na kabāb hai
Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai
wo jo husn-e-alam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabab hai
wo ghaTaen chhain jo kaliyan jo hari-bhari huin Daliyan
ubhar aain phulon ki laliyan to bajae aab-e-shahab hai
ye do-roza nashw-o-numa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-ab se
ye sarab hai ye habab hai faqat ek qissa-e-KHwab hai
araq-e-bahaar-e-sharab hai wo hi aaj chhiDkenge aap par
na to bed-e-mushk hai is ghaDi na to kewDa na gulab hai
unhen kahne sunne se bair hai jo KHud aaen so to ba-KHair hai
ye gharaz ki zor hi sair hai na sawal hai na jawab hai
kidhar aaun jaun karun so kya mera ji hi nak mein aa gaya
na to arz-e-haal ki tab hai na to sabr-e-KHana-KHarab hai
mujhe wahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat
na sawal hai na jawab hai na azab hai na iqab hai
meri baat man suna dila na to arz o farz pe ji chala
koi un ko Toke so kya bhala ki wo aali un ki janab hai
are 'insha' ab jo ye daur hai teri waza in dinon aur hai
ye bhi koi zist ka taur hai na sharab hai na kabab hai
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.