Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TukDe jigar ke aankh se bare nikal gae

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

TukDe jigar ke aankh se bare nikal gae

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    TukḌe jigar ke aañkh se baare nikal ga.e

    armān aaj dil ke hamāre nikal ga.e

    vā-hasratā ki laḳht-e-jigar the jo tifl-e-ashk

    āñkhoñ ke sāmne se hamāre nikal ga.e

    sho.ale hamāre aahoñ ke aise hue buland

    abroñ se āsmāñ ke sitāre nikal ga.e

    mānind-e-dasht ḳhirqa huā kohna ai 'nasīm'

    dāman ke har taraf se kināre nikal ga.e

    TukDe jigar ke aankh se bare nikal gae

    arman aaj dil ke hamare nikal gae

    wa-hasrata ki laKHt-e-jigar the jo tifl-e-ashk

    aankhon ke samne se hamare nikal gae

    shoale hamare aahon ke aise hue buland

    abron se aasman ke sitare nikal gae

    manind-e-dasht KHirqa hua kohna ai 'nasim'

    daman ke har taraf se kinare nikal gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now