TukDon mein mulk jab bhi baTta hai
TukḌoñ meñ mulk jab bhī baTtā hai
jism kā koī hissa kaTtā hai
terā merā jab aa.e rishtoñ meñ
phir ka.ī hissoñ meñ ghar baTtā hai
roz yuuñ jañgaloñ ko kaTtā dekh
dhartī kā bhī kaleja phahTtā hai
hausle aur junūñ kī dhaar se to
parvatoñ kā bhī siinā kaTtā hai
yaad rahtī hai jaane vaale kī
lekin us kā asar to ghaTtā hai
baat jab jaan par aa jaatī hai
kaun hai phir jo pīchhe haTtā hai
TukDon mein mulk jab bhi baTta hai
jism ka koi hissa kaTta hai
tera mera jab aae rishton mein
phir kai hisson mein ghar baTta hai
roz yun jangalon ko kaTta dekh
dharti ka bhi kaleja phahTta hai
hausle aur junun ki dhaar se to
parwaton ka bhi sina kaTta hai
yaad rahti hai jaane wale ki
lekin us ka asar to ghaTta hai
baat jab jaan par aa jati hai
kaun hai phir jo pichhe haTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.