TukDon se apne dil ke juda ho gai hai man
TukḌoñ se apne dil ke judā ho ga.ī hai maañ
yuuñ lag rahā hai jaise bahut ro ga.ī hai maañ
sūrat ko terī dekhnā mumkin nahīñ rahā
ye biij kyā judā.ī kā tū bo ga.ī hai maañ
ahl-e-adab behis haiñ ḳhudāyā duhā.ī hai
in ke gunah kā bojh magar Dho ga.ī hai maañ
bachche ye pūchhte haiñ ḳhalāoñ meñ ghuur kar
kal tak yahāñ thī aaj kahāñ kho ga.ī hai maañ
farzāna tere bachchoñ ko 'nig.hat' batā.egī
thak kar masāfatoñ se suno so ga.ī hai maañ
TukDon se apne dil ke juda ho gai hai man
yun lag raha hai jaise bahut ro gai hai man
surat ko teri dekhna mumkin nahin raha
ye bij kya judai ka tu bo gai hai man
ahl-e-adab behis hain KHudaya duhai hai
in ke gunah ka bojh magar Dho gai hai man
bachche ye puchhte hain KHalaon mein ghur kar
kal tak yahan thi aaj kahan kho gai hai man
farzana tere bachchon ko 'nighat' bataegi
thak kar masafaton se suno so gai hai man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.