tulū-e-ishq ke manzar thame the
kahīñ kaase kahīñ par sar thame the
nazar dahshat-zada yūñhī nahīñ thī
ḳhayāloñ meñ bahut se Dar thame the
barasnā thā jinheñ āñkhoñ se merī
vahī bādal kahīñ uupar thame the
dil-e-muztar taḌapne lag gayā thā
ajab tūfān sāñsoñ par thame the
tumhārī raah ke patthar the jitne
hamāre paañv meñ aa kar thame the
ka.ī aaseb yādoñ ke 'diyā' jī
hamārī ruuh ke andar thame the
tulu-e-ishq ke manzar thame the
kahin kase kahin par sar thame the
nazar dahshat-zada yunhi nahin thi
KHayalon mein bahut se Dar thame the
barasna tha jinhen aankhon se meri
wahi baadal kahin upar thame the
dil-e-muztar taDapne lag gaya tha
ajab tufan sanson par thame the
tumhaari rah ke patthar the jitne
hamare panw mein aa kar thame the
kai aaseb yaadon ke 'diya' ji
hamari ruh ke andar thame the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.