tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aaya
tulū-e-sub.h-e-safar kī ghaḌī thī yaad aayā
judā.ī rāsta roke khaḌī thī yaad aayā
kisī kī ḳhanda-labī se bhī khul nahīñ paa.ī
girah to ab ke diloñ meñ paḌī thī yaad aayā
ye dil ke zaḳhm usī jañg meñ atā hue haiñ
jo tere naam pe ḳhud se laḌī thī yaad aayā
jo merā vaqt mire haath aa nahīñ rahā thā
mirī kalā.ī pe terī ghaḌī thī yaad aayā
gale mile the bichhaḌte samay jab āḳhirī baar
vo shaam donoñ pe kitnī kaḌī thī yaad aayā
rageñ badan kī yūñhī to nahīñ khiñchī huī thiiñ
koī salīb sī dil meñ gaḌī thī yaad aayā
huī hai sarf na jaane kahāñ kahāñ ai 'na.īm'
durūn-e-chashm namī to baḌī thī yaad aayā
tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aaya
judai rasta roke khaDi thi yaad aaya
kisi ki KHanda-labi se bhi khul nahin pai
girah to ab ke dilon mein paDi thi yaad aaya
ye dil ke zaKHm usi jang mein ata hue hain
jo tere nam pe KHud se laDi thi yaad aaya
jo mera waqt mere hath aa nahin raha tha
meri kalai pe teri ghaDi thi yaad aaya
gale mile the bichhaDte samay jab aaKHiri bar
wo sham donon pe kitni kaDi thi yaad aaya
ragen badan ki yunhi to nahin khinchi hui thin
koi salib si dil mein gaDi thi yaad aaya
hui hai sarf na jaane kahan kahan ai 'naim'
durun-e-chashm nami to baDi thi yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.