tulu-e-subh-e-taban ki jabin se
tulū-e-sub.h-e-tābāñ kī jabīñ se
ye kis kā ḳhuun ristā hai zamīñ se
tirī yādoñ kī shabnam zau-fishāñ hai
nazar aate haiñ jugnū shah-nashīñ se
koī sūraj mire dil meñ utāro
bane jaate haiñ raste surmagīñ se
koī mānūs ḳhushbū bas ga.ī hai
chale aate haiñ jhoñke ambarīñ se
tirī qurbat kī garmī kah rahī hai
bikharne ko haiñ lamhe ātishīñ se
mire sapne mirī āñkheñ bhī le lo
magar jānāñ mujhe dekho kahīñ se
jahāñ jaltī haiñ yādoñ kī chitāeñ
pukārā hai hameñ us ne vahīñ se
tulu-e-subh-e-taban ki jabin se
ye kis ka KHun rista hai zamin se
teri yaadon ki shabnam zau-fishan hai
nazar aate hain jugnu shah-nashin se
koi suraj mere dil mein utaro
bane jate hain raste surmagin se
koi manus KHushbu bas gai hai
chale aate hain jhonke ambarin se
teri qurbat ki garmi kah rahi hai
bikharne ko hain lamhe aatishin se
mere sapne meri aankhen bhi le lo
magar jaanan mujhe dekho kahin se
jahan jalti hain yaadon ki chitaen
pukara hai hamein us ne wahin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.