Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham

Owais Ahmad Dauran

tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham

Owais Ahmad Dauran

MORE BYOwais Ahmad Dauran

    tum aa ga.e ho jab se khaTakne lagī hai shaam

    sāġhar tarah roz chhalakne lagī hai shaam

    shāyad kisī yaad mausam phir aa gayā

    pahlū meñ dil tarah dhaḌakne lagī hai shaam

    kuchh apne ḳhūn-e-ramīda le ḳhabar

    palkoñ pe qatra qatra Tapakne lagī hai shaam

    sahrā-e-pur-sukūt meñ kuchh āhuoñ ke saath

    phir kis aarzū meñ bhaTakne lagī hai shaam

    kyā jaane aaj kyuuñ kisī mazdūr tarah

    sūraj ġhurūb hote thakne lagī hai shaam

    kuchh aur aa.ina meñ sañvarne lage haiñ vo

    jis din se un pe jaan chhiḌakne lagī hai shaam

    'daurāñ' sunā hai sūrat-e-gesū-e-ambarīñ

    imsāl phir chaman meñ mahakne lagī hai shaam

    tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham

    saghar ki tarah roz chhalakne lagi hai sham

    shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya

    pahlu mein dil ki tarah dhaDakne lagi hai sham

    kuchh tu hi apne KHun-e-ramida ki le KHabar

    palkon pe qatra qatra Tapakne lagi hai sham

    sahra-e-pur-sukut mein kuchh aahuon ke sath

    phir kis ki aarzu mein bhaTakne lagi hai sham

    kya jaane aaj kyun kisi mazdur ki tarah

    suraj ghurub hote hi thakne lagi hai sham

    kuchh aur aaina mein sanwarne lage hain wo

    jis din se un pe jaan chhiDakne lagi hai sham

    'dauran' suna hai surat-e-gesu-e-ambarin

    imsal phir chaman mein mahakne lagi hai sham

    Source :
    • Book : Ababeel (Pg. 144)
    • Author : Owais Ahmad Dauran
    • Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1986)
    • Edition : 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now