Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum achchhe masiha ho dawa kyon nahin dete

Ehsan Jafri

tum achchhe masiha ho dawa kyon nahin dete

Ehsan Jafri

MORE BYEhsan Jafri

    tum achchhe masīhā ho davā kyoñ nahīñ dete

    be-nūr jo hai sham' bujhā kyoñ nahīñ dete

    be-nām huuñ be-nang huuñ zāhir to hai tum par

    gar rabt nahīñ dil se bhulā kyoñ nahīñ dete

    ḳhushbū tarah phuul uThūñgā chaman se

    tum phuul ko zulfoñ se girā kyoñ nahīñ dete

    pahuñchūñgā kashākash meñ jahāñ tum ne bulāyā

    tum hashr ke maidāñ se sadā kyoñ nahīñ dete

    mahfil meñ agar raunaq-e-mahfil hai koī aur

    ye baat bhī mahfil ko batā kyoñ nahīñ dete

    ik buuñd larzāñ hai sar-e-chashm-e-tamannā

    nāyāb nahīñ aab girā kyoñ nahīñ dete

    nā-karda gunāhoñ sazā maut milī hai

    phir karda gunāhoñ sazā kyoñ nahīñ dete

    zaḳhmoñ ko mire dil pe agar dekh liyā hai

    dāman se vafāoñ havā kyoñ nahīñ dete

    dekhā thā kabhī ham ne mohabbat janāza

    baaqī hai agar kuchh to dikhā kyoñ nahīñ dete

    har lamha hamārā fasāna hai zabāñ par

    ham kuchh bhī nahīñ haiñ to bhulā kyoñ nahīñ dete

    kar leñge har ik manzil-e-dushvār ko sar ham

    ik jaam mohabbat pilā kyoñ nahīñ dete

    tum achchhe masiha ho dawa kyon nahin dete

    be-nur jo hai sham' bujha kyon nahin dete

    be-nam hun be-nang hun zahir to hai tum par

    gar rabt nahin dil se bhula kyon nahin dete

    KHushbu ki tarah phul ki uThunga chaman se

    tum phul ko zulfon se gira kyon nahin dete

    pahunchunga kashakash mein jahan tum ne bulaya

    tum hashr ke maidan se sada kyon nahin dete

    mahfil mein agar raunaq-e-mahfil hai koi aur

    ye baat bhi mahfil ko bata kyon nahin dete

    ek bund si larzan hai sar-e-chashm-e-tamanna

    nayab nahin aab gira kyon nahin dete

    na-karda gunahon ki saza maut mili hai

    phir karda gunahon ki saza kyon nahin dete

    zaKHmon ko mere dil pe agar dekh liya hai

    daman se wafaon ki hawa kyon nahin dete

    dekha tha kabhi hum ne mohabbat ka janaza

    baqi hai agar kuchh to dikha kyon nahin dete

    har lamha hamara hi fasana hai zaban par

    hum kuchh bhi nahin hain to bhula kyon nahin dete

    kar lenge har ek manzil-e-dushwar ko sar hum

    ek jam mohabbat ka pila kyon nahin dete

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now