Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum aisa karna ki koi jugnu koi sitara sambhaal rakhna

Ezaz Ahmad Azar

tum aisa karna ki koi jugnu koi sitara sambhaal rakhna

Ezaz Ahmad Azar

MORE BYEzaz Ahmad Azar

    tum aisā karnā ki koī jugnū koī sitāra sambhāl rakhnā

    mire añdheroñ fikr chhoḌo bas apne ghar ḳhayāl rakhnā

    ujaaḌ mausam meñ ret-dhartī pe fasl boī thī chāñdnī

    ab us meñ ugne lage añdhere to kaisā meñ malāl rakhnā

    dayār-e-ulfat meñ ajnabī ko safar hai dar-pesh zulmatoñ

    kahīñ vo rāhoñ meñ kho na jaa.e zarā darīcha ujaal rakhnā

    bichhaḌne vaale ne vaqt-e-ruḳhsat kuchh is nazar se palaT ke dekhā

    ki jaise vo bhī ye kah rahā ho tum apne ghar ḳhayāl rakhnā

    ye dhuup chhāñv khel hai ḳhizāñ bahāroñ ghaat meñ hai

    nasīb sub.h-e-urūj ho to nazar meñ shām-e-zavāl rakhnā

    kise ḳhabar hai ki kab ye mausam uḌā ke rakh degā ḳhaak 'āzar'

    tum ehtiyātan zamīñ ke sar par falak chādar Daal rakhnā

    tum aisa karna ki koi jugnu koi sitara sambhaal rakhna

    mere andheron ki fikr chhoDo bas apne ghar ka KHayal rakhna

    ujaD mausam mein ret-dharti pe fasl boi thi chandni ki

    ab us mein ugne lage andhere to kaisa ji mein malal rakhna

    dayar-e-ulfat mein ajnabi ko safar hai dar-pesh zulmaton ka

    kahin wo rahon mein kho na jae zara daricha ujal rakhna

    bichhaDne wale ne waqt-e-ruKHsat kuchh is nazar se palaT ke dekha

    ki jaise wo bhi ye kah raha ho tum apne ghar ka KHayal rakhna

    ye dhup chhanw ka khel hai ya KHizan bahaaron ki ghat mein hai

    nasib subh-e-uruj ho to nazar mein sham-e-zawal rakhna

    kise KHabar hai ki kab ye mausam uDa ke rakh dega KHak 'azar'

    tum ehtiyatan zamin ke sar par falak ki chadar hi Dal rakhna

    Source :
    • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 11.02.2015)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now