tum apne husn pe ghazlen paDha karo baiThe
tum apne husn pe ġhazleñ paḌhā karo baiThe
ki likhne vaale to muddat se hosh kho baiThe
taras ga.ī haiñ nigāheñ ziyāda kyā kahiye
sanam sanam rahe behtar ḳhudā na ho baiThe
ḳhudā ke fazl se ta.alīm vo huī hai aam
ḳhirad to ḳhair junūñ se bhī haath dho baiThe
burā kiyā ki talātum meñ nā-ḳhudā.ī kī
kināra bhī na milā naav bhī Dubo baiThe
marīz-e-ishq kā jaldī janāza niklegā
kuchh aur der patā pūchhte raho baiThe
tamām shahr meñ bāñTī hai dard kī ḳhairāt
ham us kī diin ko dil meñ nahīñ samo baiThe
tumhārī bazm bahut tañg aur dasht vasī.a
chale to aa.e ghaḌī-do-ghaḌī hī go baiThe
bujhī na ātish-e-dil hī kisī tarah 'rāhīl'
vagarna yaar to āñkheñ bahut bhigo baiThe
tum apne husn pe ghazlen paDha karo baiThe
ki likhne wale to muddat se hosh kho baiThe
taras gai hain nigahen ziyaada kya kahiye
sanam sanam rahe behtar KHuda na ho baiThe
KHuda ke fazl se talim wo hui hai aam
KHirad to KHair junun se bhi hath dho baiThe
bura kiya ki talatum mein na-KHudai ki
kinara bhi na mila naw bhi Dubo baiThe
mariz-e-ishq ka jaldi janaza niklega
kuchh aur der pata puchhte raho baiThe
tamam shahr mein banTi hai dard ki KHairaat
hum us ki din ko dil mein nahin samo baiThe
tumhaari bazm bahut tang aur dasht wasia
chale to aae ghaDi-do-ghaDi hi go baiThe
bujhi na aatish-e-dil hi kisi tarah 'rahil'
wagarna yar to aankhen bahut bhigo baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.