tum bhi the sar-e-dar sar-e-dar tha main bhi
tum bhī the sar-e-dār sar-e-dār thā maiñ bhī
tum dekh to lete ki numūdār thā maiñ bhī
ye jism rukāvaT thā mere ishq meñ shāyad
aur sach hai ki is jism se bezār thā maiñ bhī
mumkin hai ki betāb rahā ho kabhī tū bhī
yādoñ kī aziyyat meñ giraftār thā maiñ bhī
bāzār meñ laayā gayā yūsuf kī tarah maiñ
kuchh der sahī raunaq-e-bāzār thā maiñ bhī
ḳhud apne ta.āqub meñ nikal aayā thā ghar se
ḳhud apnī adāvat meñ giraftār thā maiñ bhī
chehroñ kī jagah sirf ḳharāsheñ haiñ numāyāñ
bastī meñ kabhī ā.īna-bardār thā maiñ bhī
ai gardish-e-daurāñ ye taġhayyur nahīñ achchhā
tū soch kabhī sāhab-e-dastār thā maiñ bhī
ḳhud bechne niklā thā safī' ḳhud ko jahāñ meñ
aur bhiiḌ meñ ḳhud apnā ḳharīdār thā maiñ bhī
tum bhi the sar-e-dar sar-e-dar tha main bhi
tum dekh to lete ki numudar tha main bhi
ye jism rukawaT tha mere ishq mein shayad
aur sach hai ki is jism se bezar tha main bhi
mumkin hai ki betab raha ho kabhi tu bhi
yaadon ki aziyyat mein giraftar tha main bhi
bazar mein laya gaya yusuf ki tarah main
kuchh der sahi raunaq-e-bazar tha main bhi
KHud apne taaqub mein nikal aaya tha ghar se
KHud apni adawat mein giraftar tha main bhi
chehron ki jagah sirf KHarashen hain numayan
basti mein kabhi aaina-bardar tha main bhi
ai gardish-e-dauran ye taghayyur nahin achchha
tu soch kabhi sahab-e-dastar tha main bhi
KHud bechne nikla tha safi' KHud ko jahan mein
aur bhiD mein KHud apna KHaridar tha main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.