Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum hamare nahin to kya gham hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

tum hamare nahin to kya gham hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    tum hamāre nahīñ to kyā ġham hai

    ham tumhāre to haiñ ye kyā kam hai

    baal bikhre haiñ aañkh pur-nam hai

    mar gayā kaun kis mātam hai

    husn shoḳhiyāñ zarā dekho

    gaah sho.ala hai gaah shabnam hai

    muskurā do zarā ḳhudā ke liye

    sham-e-mahfil meñ raushnī kam hai

    chhā rahī haiñ ghaTā.eñ sāvan

    zulf-e-gardūñ bhī aaj barham hai

    ban gayā hai ye zindagī ab to

    tujh se baḌh kar hameñ tirā ġham hai

    chaak dāman hai kis liye gul

    kis liye ashk-rez shabnam hai

    mahfil-e-raqs ho ki sher-o-sharāb

    tum nahīñ ho to bazm-e-mātam hai

    har masarrat alam hai partav

    jo ḳhushī hai amānat-e-ġham hai

    is meñ aañsū bhī haiñ tabassum bhī

    zindagī ik tazād-e-paiham hai

    shaiḳh sāhab jarāhat-e-dil

    aap ke paas koī marham hai

    is ko sajde kiye farishtoñ ne

    aadmī hai ye ibn-e-ādam hai

    tum hamare nahin to kya gham hai

    hum tumhaare to hain ye kya kam hai

    baal bikhre hain aankh pur-nam hai

    mar gaya kaun kis ka matam hai

    husn ki shoKHiyan zara dekho

    gah shoala hai gah shabnam hai

    muskura do zara KHuda ke liye

    sham-e-mahfil mein raushni kam hai

    chha rahi hain ghaTaen sawan ki

    zulf-e-gardun bhi aaj barham hai

    ban gaya hai ye zindagi ab to

    tujh se baDh kar hamein tera gham hai

    chaak daman hai kis liye gul ka

    kis liye ashk-rez shabnam hai

    mahfil-e-raqs ho ki sher-o-sharab

    tum nahin ho to bazm-e-matam hai

    har masarrat alam ka hai partaw

    jo KHushi hai amanat-e-gham hai

    is mein aansu bhi hain tabassum bhi

    zindagi ek tazad-e-paiham hai

    shaiKH sahab jarahat-e-dil ka

    aap ke pas koi marham hai

    is ko sajde kiye farishton ne

    aadmi hai ye ibn-e-adam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now