tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi
tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi
Irfan Siddiqi
MORE BYIrfan Siddiqi
tum hameñ ek din dasht meñ chhoḌ kar chal diye the tumheñ kyā ḳhabar yā aḳhī
kitne mausam lage haiñ hamāre badan par nikalne meñ ye bāl-o-par yā aḳhī
shab-gazīda dayāroñ ke nāqa-savāroñ meñ mahtāb-chehra tumhārā na thā
ḳhaak meñ mil ga.e raah takte hue sab ḳhamīda kamar bām-o-dar yā aḳhī
jañg kā faisla ho chukā hai to phir mere dil kī kamīñ-gāh meñ kaun hai
ik shaqī kāTtā hai tanābeñ mire ḳhema-e-ḳhvāb kī raat bhar yā aḳhī
ye bhī achchhā huā tum is āshob se apne sarsabz baazū bachā le ga.e
yuuñ bhī kū-e-ziyāñ meñ lagānā hī thā ham ko apne lahū kā shajar yā aḳhī
nahr is shahr kī bhī bahut mehrbāñ hai magar apnā rahvār mat roknā
hijratoñ ke muqaddar meñ baaqī nahīñ ab koī qarya-e-mo'tabar yā aḳhī
zard pattoñ ke ThanDe badan apne hāthoñ pe le kar havā ne shajar se kahā
agle mausam meñ tujh par na.e barg-o-bār ā.eñge tab talak sabr kar yā aḳhī
tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi
kitne mausam lage hain hamare badan par nikalne mein ye baal-o-par ya aKHi
shab-gazida dayaron ke naqa-sawaron mein mahtab-chehra tumhaara na tha
KHak mein mil gae rah takte hue sab KHamida kamar baam-o-dar ya aKHi
jang ka faisla ho chuka hai to phir mere dil ki kamin-gah mein kaun hai
ek shaqi kaTta hai tanaben mere KHema-e-KHwab ki raat bhar ya aKHi
ye bhi achchha hua tum is aashob se apne sarsabz bazu bacha le gae
yun bhi ku-e-ziyan mein lagana hi tha hum ko apne lahu ka shajar ya aKHi
nahr is shahr ki bhi bahut mehrban hai magar apna rahwar mat rokna
hijraton ke muqaddar mein baqi nahin ab koi qarya-e-mo'tabar ya aKHi
zard patton ke ThanDe badan apne hathon pe le kar hawa ne shajar se kaha
agle mausam mein tujh par nae barg-o-bar aaenge tab talak sabr kar ya aKHi
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 122)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.