tum haqiqat nahin hikayat ho
tum haqīqat nahīñ hikāyat ho
ik paristān se rivāyat ho
maiñ tumheñ ḳhud bhī chhū nahīñ saktā
tum mirā paas merī hurmat ho
maiñ tumheñ chāhtā huuñ sadiyoñ se
tum azal se mujhe vadī.at ho
mujh se tum ḳharch kyuuñ nahīñ hote
kyā kisī aur kī amānat ho
tum tasalsul ho merī sāñsoñ kā
tum mire jism kī harārat ho
tum mirā goshvāra-e-shab-o-roz
tum hī masrūfiyat ho fursat ho
tum se nisbat hai merā sarmāyā
tum mirā qad ho merī qāmat ho
rahm kuchh to 'sahar' pe farmāo
tum pe har dam ḳhudā kī rahmat ho
tum haqiqat nahin hikayat ho
ek paristan se riwayat ho
main tumhein KHud bhi chhu nahin sakta
tum mera pas meri hurmat ho
main tumhein chahta hun sadiyon se
tum azal se mujhe wadiat ho
mujh se tum KHarch kyun nahin hote
kya kisi aur ki amanat ho
tum tasalsul ho meri sanson ka
tum mere jism ki hararat ho
tum mera goshwara-e-shab-o-roz
tum hi masrufiyat ho fursat ho
tum se nisbat hai mera sarmaya
tum mera qad ho meri qamat ho
rahm kuchh to 'sahar' pe farmao
tum pe har dam KHuda ki rahmat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.