Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

Figar Unnavi

tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

Figar Unnavi

MORE BYFigar Unnavi

    tum harīm-e-nāz meñ baiThe ho begāne bane

    justujū meñ ahl-e-dil phirte haiñ dīvāne bane

    sab ko saaqī ne nahīñ baḳhshā dil-e-dard-āshnā

    jitne ahl-e-zarf the utne paimāne bane

    jalva-e-husn aur soz-e-ishq donoñ ek haiñ

    sham.a lau thartharāne se parvāne bane

    mauj-e-tūfāñ-ḳhez uTh kar chhīn le sāhil aas

    nāḳhudā ke aate aate kyā ḳhudā jaane bane

    dam-ba-ḳhud hai tere aage e'tibār-e-aql-o-hosh

    hosh vaale jab baḌhe had se to dīvāne bane

    dekh le zāhid mirī raushan-zamīrī numūd

    ek ā.īne se kitne ā.ina-ḳhāne bane

    ai 'figār' afsāna-e-dair-o-haram zikr kyā

    is haqīqat ke na jaane kitne afsāne bane

    tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

    justuju mein ahl-e-dil phirte hain diwane bane

    sab ko saqi ne nahin baKHsha dil-e-dard-ashna

    jitne ahl-e-zarf the utne hi paimane bane

    jalwa-e-husn aur soz-e-ishq donon ek hain

    shama ki lau thartharane hi se parwane bane

    mauj-e-tufan-KHez uTh kar chhin le sahil ki aas

    naKHuda ke aate aate kya KHuda jaane bane

    dam-ba-KHud hai tere aage e'tibar-e-aql-o-hosh

    hosh wale jab baDhe had se to diwane bane

    dekh le zahid meri raushan-zamiri ki numud

    ek aaine se kitne aaina-KHane bane

    ai 'figar' afsana-e-dair-o-haram ka zikr kya

    is haqiqat ke na jaane kitne afsane bane

    Source :
    • Book : Harf-o-nava (Pg. 119)
    • Author : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
    • Publication : Figaar Unnavi (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now