tum ho meri prem-kahani ka kirdar
tum ho merī prem-kahānī kā kirdār
merī film meñ shoḳh javānī kā kirdār
terī fitrat mujh se mel nahīñ khātī
alag thalag hai aag se paanī kā kirdār
das das baar paḌhī hai maiñ ne mahā-bhārat
koī nahīñ hai karn sā daanī kā kirdār
kirdāroñ kī bhiiḌ hai shāmil is meñ par
maiñ huuñ raajā tū hai raanī kā kirdār
ye chaman-e-gul aur is meñ sab log haiñ phuul
tum ho jaise raat kī raanī kā kirdār
tere hone se hī merā honā hai
jaise badan meñ ḳhūn-o-pānī kā kirdār
tum ho meri prem-kahani ka kirdar
meri film mein shoKH jawani ka kirdar
teri fitrat mujh se mel nahin khati
alag thalag hai aag se pani ka kirdar
das das bar paDhi hai main ne maha-bhaarat
koi nahin hai karn sa dani ka kirdar
kirdaron ki bhiD hai shamil is mein par
main hun raja tu hai rani ka kirdar
ye chaman-e-gul aur is mein sab log hain phul
tum ho jaise raat ki rani ka kirdar
tere hone se hi mera hona hai
jaise badan mein KHun-o-pani ka kirdar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.