tum ho meri zist ka hasil shahzade
tum ho merī ziist kā hāsil shahzāde
toḌ na denā tum merā dil shahzāde
apne andar tum ko dekh rahī huuñ maiñ
ā.īna hai mere muqābil shahzāde
sīm-o-zar par itrāte the dekho ab
ishq nagar meñ ban ga.e saa.il shahzāde
shahzādī ne dil haarā aur jiitī jañg
māl-e-ġhanīmat meñ tum shāmil shahzāde
vasl kī rut kā ab to istiqbāl karo
kuuk rahī hai baaġh meñ koyal shahzāde
shahzāde ye duniyā fikr meñ ġhaltāñ hai
jab se maiñ huuñ tum par maa.il shahzāde
Dagar Dagar maiñ bhaTak rahī huuñ aaj talak
tujh se bichhaḌ kar kaisī manzil shahzāde
ik jānib tū dūsrī jānib terī 'rabāb'
ek zamāna beach meñ haa.il shahzāde
tum ho meri zist ka hasil shahzade
toD na dena tum mera dil shahzade
apne andar tum ko dekh rahi hun main
aaina hai mere muqabil shahzade
sim-o-zar par itraate the dekho ab
ishq nagar mein ban gae sail shahzade
shahzadi ne dil haara aur jiti jang
mal-e-ghanimat mein tum shamil shahzade
wasl ki rut ka ab to istiqbaal karo
kuk rahi hai bagh mein koyal shahzade
shahzade ye duniya fikr mein ghaltan hai
jab se main hun tum par mail shahzade
Dagar Dagar main bhaTak rahi hun aaj talak
tujh se bichhaD kar kaisi manzil shahzade
ek jaanib tu dusri jaanib teri 'rabab'
ek zamana beach mein hail shahzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.