tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen
tum ho mujrim ham haiñ mulzim chalo nayā insāf kareñ
tum bhī hameñ muāfī de do ham bhī tumheñ muaaf kareñ
phir ujlī kursī par baiTheñ mulzim kā insāf kareñ
pahle munsif gañgā-jal se apnī niyyat saaf kareñ
jis ne jitne qatl kiye haiñ un kā vo iqbāl kare
maiñ maqtūloñ se kah dūñgā ab vo use muaaf kareñ
ye bhī marham hai zaḳhmoñ kā hākim aur jallād sabhī
dañgā-pīḌit har bastī kā nañge pair tavāf kareñ
kuchh zahrīle aḳhbāroñ ne sab ko mere ḳhilāf kiyā
un meñ himmat ho to mere rab ko mire ḳhilāf kareñ
aane vaalī nasloñ ko ye detī raheñgī dars-e-vafā
na.e musavvir tasvīroñ meñ merā lahū muzāf kareñ
ik-dūje ke aañsū le leñ ik-dūje ko ḳhushiyāñ deñ
pyaar kī sham.a kā ye ujālā aao har atrāf kareñ
vote na becheñ kyuuñ bechāre bas kambal ke badle meñ
jo sardī meñ apnī chamḌī bistar kareñ lihāf kareñ
taḳht-nashīnoñ ke qadmoñ par bose dene vaale ab
ek nazar merī qurbānī par bhī to ausāf kareñ
bādal farz-shanās nahīñ hai qaid hai yā zanjīroñ meñ
shabnam ke qatre hī pyāse 'panchhī' par altāf kareñ
tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen
tum bhi hamein muafi de do hum bhi tumhein muaf karen
phir ujli kursi par baiThen mulzim ka insaf karen
pahle munsif ganga-jal se apni niyyat saf karen
jis ne jitne qatl kiye hain un ka wo iqbaal kare
main maqtulon se kah dunga ab wo use muaf karen
ye bhi marham hai zaKHmon ka hakim aur jallad sabhi
danga-piDit har basti ka nange pair tawaf karen
kuchh zahrile aKHbaron ne sab ko mere KHilaf kiya
un mein himmat ho to mere rab ko mere KHilaf karen
aane wali naslon ko ye deti rahengi dars-e-wafa
nae musawwir taswiron mein mera lahu muzaf karen
ik-duje ke aansu le len ik-duje ko KHushiyan den
pyar ki shama ka ye ujala aao har atraf karen
wote na bechen kyun bechaare bas kambal ke badle mein
jo sardi mein apni chamDi bistar karen lihaf karen
taKHt-nashinon ke qadmon par bose dene wale ab
ek nazar meri qurbani par bhi to ausaf karen
baadal farz-shanas nahin hai qaid hai ya zanjiron mein
shabnam ke qatre hi pyase 'panchhi' par altaf karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.