tum is KHarabe mein chaar chhe din Tahal gai ho
tum is ḳharābe meñ chaar chhe din Tahal ga.ī ho
so ain-mumkin hai dil kī hālat badal ga.ī ho
tamām din is duā meñ kaTtā hai kuchh dinoñ se
maiñ jā.ūñ kamre meñ to udāsī nikal ga.ī ho
kisī ke aane pe aise halchal huī hai mujh meñ
ḳhamosh jangal meñ jaise bandūq chal ga.ī ho
ye na ho gar maiñ hilūñ to girne lage burāda
dukhoñ kī dīmak badan kī lakḌī nigal ga.ī ho
ye chhoTe chhoTe ka.ī havādis jo ho rahe haiñ
kisī ke sar se baḌī musībat na Tal ga.ī ho
hamārā malba hamāre qadmoñ meñ aa girā hai
plate meñ jaise mom-battī pighal ga.ī ho
tum is KHarabe mein chaar chhe din Tahal gai ho
so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gai ho
tamam din is dua mein kaTta hai kuchh dinon se
main jaun kamre mein to udasi nikal gai ho
kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh mein
KHamosh jangal mein jaise banduq chal gai ho
ye na ho gar main hilun to girne lage burada
dukhon ki dimak badan ki lakDi nigal gai ho
ye chhoTe chhoTe kai hawadis jo ho rahe hain
kisi ke sar se baDi musibat na Tal gai ho
hamara malba hamare qadmon mein aa gira hai
plate mein jaise mom-batti pighal gai ho
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 63)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.