tum jis ko DhunDte ho ye mahfil nahin hai wo
tum jis ko DhūñDte ho ye mahfil nahīñ hai vo
logoñ ke is hujūm meñ shāmil nahīñ hai vo
rastoñ ke pech-o-ḳham ne kahīñ aur lā diyā
jaanā hameñ jahāñ thā ye manzil nahīñ hai vo
dariyā ke ruḳh ko moḌ ke aa.e to ye khulā
sāhil ke rañg aur haiñ sāhil nahīñ hai vo
duniyā meñ bhāg-dauḌ kā hāsil yahī to hai
hāsil har ek chiiz hai hāsil nahīñ hai vo
'ālam' dil-e-asīr ko samjhā.ūñ kis tarah
kam-baḳht e'tibār ke qābil nahīñ hai vo
tum jis ko DhunDte ho ye mahfil nahin hai wo
logon ke is hujum mein shamil nahin hai wo
raston ke pech-o-KHam ne kahin aur la diya
jaana hamein jahan tha ye manzil nahin hai wo
dariya ke ruKH ko moD ke aae to ye khula
sahil ke rang aur hain sahil nahin hai wo
duniya mein bhag-dauD ka hasil yahi to hai
hasil har ek chiz hai hasil nahin hai wo
'alam' dil-e-asir ko samjhaun kis tarah
kam-baKHt e'tibar ke qabil nahin hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.