tum jo chhaalon ki baat karte ho
tum jo chhāloñ kī baat karte ho
kyuuñ himāloñ kī baat karte ho
kis ke hāthoñ meñ thā nahīñ patthar
shaam vāloñ kī baat karte ho
apne chehre pe pot kar kālak
tum ujāloñ kī baat karte ho
ḳhushk roTī to de nahīñ sakte
tar nivāloñ kī baat karte ho
jo namak haiñ hamāre zaḳhmoñ par
un havāloñ kī baat karte ho
chhīn kar ham se jur.at-e-iz.hār
ab savāloñ kī baat karte ho
jism jin ke haiñ bojh rūhoñ par
un jiyāloñ kī baat karte ho
tum jo chhaalon ki baat karte ho
kyun himalon ki baat karte ho
kis ke hathon mein tha nahin patthar
sham walon ki baat karte ho
apne chehre pe pot kar kalak
tum ujalon ki baat karte ho
KHushk roTi to de nahin sakte
tar niwalon ki baat karte ho
jo namak hain hamare zaKHmon par
un hawalon ki baat karte ho
chhin kar hum se jurat-e-izhaar
ab sawalon ki baat karte ho
jism jin ke hain bojh ruhon par
un jiyalon ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.