tum jo ho pas to kami kya hai
tum jo ho paas to kamī kyā hai
tum na ho to ye zindagī kyā hai
gardish-e-vaqt ye to batlā de
phuul kyā chiiz hai kalī kyā hai
koī lamha ruke to maiñ pūchhūñ
vaqt ko aisī bekalī kyā hai
ek sāñsoñ ke silsile ke sivā
ham ġharīboñ kī zindagī kyā hai
band kamroñ ke bāsiyoñ se na pūchh
sub.h kyā shai hai raushnī kyā hai
aql mab.hūt ho ga.ī fauran
jab bhī sochā ki zindagī kyā hai
in charāġhoñ tale añdherā hai
in charāġhoñ meñ raushnī kyā hai
adl bahrā hai gung hai mazlūm
koī kis se kahe koī kyā hai
haañ nahīñ hai to bas vafā varna
mere ahbāb meñ kamī kyā hai
tum jo ho pas to kami kya hai
tum na ho to ye zindagi kya hai
gardish-e-waqt ye to batla de
phul kya chiz hai kali kya hai
koi lamha ruke to main puchhun
waqt ko aisi bekali kya hai
ek sanson ke silsile ke siwa
hum gharibon ki zindagi kya hai
band kamron ke basiyon se na puchh
subh kya shai hai raushni kya hai
aql mabhut ho gai fauran
jab bhi socha ki zindagi kya hai
in charaghon tale andhera hai
in charaghon mein raushni kya hai
adl bahra hai gung hai mazlum
koi kis se kahe koi kya hai
han nahin hai to bas wafa warna
mere ahbab mein kami kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.