tum jo kahte ho ki aawenge tere han kal tak
tum jo kahte ho ki aawenge tere han kal tak
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
tum jo kahte ho ki āveñge tire haañ kal tak
kaun jiitā hai judā.ī meñ mirī jaañ kal tak
tere vahshī kā agar ḳhaak uḌānā hai yahī
kahīñ DhūñDā bhī na pāvegā bayābāñ kal tak
kuchh bhī kahte haiñ jarāhat kī mere ai hamdam
iktifā kyūñki kare ek namak-dāñ kal tak
duur se gar use tasvīr dikhā duuñ terī
aap meñ aave na phir shāhid-e-kan.āñ kal tak
ḳhaak meñ aaj vo sar Thokareñ khāte haiñ paḌe
jo imārat kā kiyā karte the sāmāñ kal tak
dil lagātī hai abas apne liye ai bulbul
DhūñDe pāvegī na gul-hā-e-gulistāñ kal tak
kyā nazar kaam kare us ke dahan par 'ārif'
laakh dekhā kare ye dīda-e-hairāñ kal tak
tum jo kahte ho ki aawenge tere han kal tak
kaun jita hai judai mein meri jaan kal tak
tere wahshi ka agar KHak uDana hai yahi
kahin DhunDa bhi na pawega bayaban kal tak
kuchh bhi kahte hain jarahat ki mere ai hamdam
iktifa kyunki kare ek namak-dan kal tak
dur se gar use taswir dikha dun teri
aap mein aawe na phir shahid-e-kanan kal tak
KHak mein aaj wo sar Thokaren khate hain paDe
jo imarat ka kiya karte the saman kal tak
dil lagati hai abas apne liye ai bulbul
DhunDe pawegi na gul-ha-e-gulistan kal tak
kya nazar kaam kare us ke dahan par 'arif'
lakh dekha kare ye dida-e-hairan kal tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.